Wednesday 29 April 2020

Irrfan

We lost the finest ctor of our times today. RIP Irrfan. 

Ammi ka zarur dulhara raha hoga,
Ek jumma bhi unke bina kata nahi. 
Pata nahi kab se chain ki neend nahi soya hoga, 
Sahabzade ki zidd thi ki maa ki gaud mein sar rakh ke sounga. . 

Wo adakaari dekhne ko dil bekarar rahega. 
''Wait for me'' ka intezaar ab ta-umar rahega. 
Ek safar jo adhura sa chooth gaya hai, 
Hume shikanji ka intezaar ta umar rahega.

Wo andaaz yaad rahega,
Wo awaaz yaad rahegi, 
Screen par hone ka ehsaas yaad rahega, 
Aakhon se kiya abhinay, 
Wo muskaan, wo aasu, wo cheekh, 
Ek one liner mein itna kuch keh dene ka hunar, 
Adakaari ka har jalwa yaad rahega. 

Yuh toh maut sab khatam karr deti hai, 
Alvida na keh paane ka malaal zinda rahega. 
Kam hi hote hain aise insaan, par yakeenan, 
Humare aansuon mein hi sahi lekin, Roohdaar zinda rahega,
Irrfan zinda rahega. 







2 comments: