Saturday, 4 April 2020

Aiyanna (Mirror) - NaPoWriMo Day 4

Aaj hindi mein likhe hain. Prompt tha Aiyanna.

... 
Aiyanna

Wo aiyanne ke aagey aksar, 
Din ko raat karti mai. 
Mai puchta jo wjah, 
Mujh par hi bigadti thi. 

''Aiyanna na ho gaya, 
Saut ho gaya mera. 
Mujhse zyada nihaarta hai
Chehra tera. '' 

'' Ab kya karu,'' 
 Wo bigde swar mein boli. 
''Sach bolta hai ye, 
Nahi khelta aakh micholi. 
Na zulfon ki safedi chipata hai, 
Na chehre ke daag chipata hai. 
Umr ka sahi hisaab rakhta hai, . 
Jo dekhta hai wahi bakta hai. 
Tumhari tarah nahi karta yeh
jhoot ki taskari
Nahi samajta mujhe koi hoor pari.''

Maine fataak se khol di
Aiyanne ki sacchayi, 
''Kitni bhi sateek ho, 
Dikhata hai ye mehaz parchayi. 
Parchaayi vastavik hai, 
Vastav hai meri nazar. 
Bhooj jaogi apne roop ka sach, 
Kuch lamhe in mein jhalak lo agar.''



No comments:

Post a Comment