Tuesday, 7 April 2020

Jung - NaPoWriMo Day 7

Inspired by some of the lessons earned by the Gone In th wind, written by Margaret Mitchell. War and reality of war are two very different things. 
... 

Aasaan tha dour se jung ka tabsara dena, 
Zinzor uthi ruh, jab haath mein lahu dekha. 

Cheek thi, guhaar thi, jab jung ka bigul baja. 
Sadkon par jamaat thi mano tehwar ka manch saja. 

Jawaanon ki shaan mein nagmon ka daur tha. 
Rifaaqat ke har zikr mein jurrat par jor tha. 

Shikast ka khayal bhi kafir tha, gaddar tha. 
Qaum parasti ka junoon kuch iss qadar savaar tha. 

Sarhad se jab jawanon ke sheheedi ki khabar mili
Aakhein kuch namm hui, deepakon mein lauh jali. 

Jung ka bukhaar ab bhi barkaraar tha. 
Bud kirdaaron ka tezi se chal raha karobaar tha. 

Shaheedon ka aakda ab roj dar roj badhne laga. 
Akhbaar ke aakhri panne par jung par sawaal utha. 

Muflisi aur bhookmari se avaam ab ghamgheen thi. 
Sarhad par lagi jung ab sheher ke beechobeech thi. 

Jung par fateh kar avaam ab mayoos thi. 
Choti si zameen ki keemat kya adaa ki. 

.  

This is a link of my recitation on Facebook

https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=3154424797913437&id=100000378443119







No comments:

Post a Comment