Zulfon ki ek latt chehre par aksar jhoollti thi,
Ussey khoob aata tha apne baal baandhna, .
Wo zulfon ki latt kuch aisi thi maano,
Jaise chehre ki khidki par koi sundar sa pardha,
Kisi pahad ki choti par jaise baithi barf,
Aasmaan par chalaya indra dhanush
Saaf Paani ki jheel mein jhaag.
Natak tha uska ungliyon se latt savaarna.
Saajiah toh hume adaa dikhane ki thi.
Humne muskura kar uske iss dhang ko pratsahan diya,
Darhasal wo baghi latt usaki icchaon ka parmaan thi.
No comments:
Post a Comment